25 October 2008

Kya Use Bhi Meri Yaad Sataati hogi ?



Kabhi use bhi meri yaad sataati hogi

Apni aankhon main mere khwaab sajaati hogi

Woh jo har waqt khayaalon main basi rehti hai

Kabhi to meri bhi sochon main kho jaati hogi

Woh jiski raah main palkein bichi rehti hain

Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi

Labon par rehti hai woh har pal hansi ban kar

Tasavarr se mere woh bhi muskuraati hogi

Woh jo shaamil hai mere geet mere naghmon mein

Kabhi tanhaai mein mujhko bhi gun gunaati hogi

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai

Mere liye apna chain bhi ganwaati hogi

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon

Kabhi iqraar to woh bhi karna chahti hogi

Jiske liye meri har raat hai karwat-karwat

Kabhi to use bhi neend na aati hogi

Jiski ulfatt ki shamaa se hai mera dil roshan

Meri chaahat ke woh bhi deep jalati hogi

Gham-e-firaaq mera hi muqadar hai

ya

phir Meri judaai use bhi yunhi rulati hogi




Regards,

Nitish Dandriyal

No comments: